Zillat-e-tanhai Se Ghabra Ke Aayi Hoon,
Mein Abhi Abhi Sheher-e-wafa Se Aayi Hoon,
Kuch Dair Hawa Ko Baaton Mein Lagaye Rakhna,
Mein Ghar Mein Ek Charagh Jala Ke Aayi Hoon,
Uss Ne Poocha Hai Ehd-e-wafa Nibhahogi,
So Haathon Mein Quran Utha Ke Aayi Hoon,
Wo Chahe To Ab Mujh Se Tark-e-talluq Kar Le,
Wo Meri Zindagi Hai Usay Bata Ke Aayi Hoon,
Wo Ab Bhi Mujhe Anna-parast Smajhta Hai,
Mein Jisay Ro Ro Ke Mana Ke Aayi Hoon,
No comments:
Post a Comment