Thursday 29 May 2014

Bikhar Rahy Hai Meri Zaat

Bikhar rahi hai meri zaat usay kehna,
Kabhi milay to yehi baat usay kehna

Wo saath thi to zamana tha hamsafar mera,
Magar ab koi nahi mere saath usay kehna,

Usay kehna k bin us k din nahi kat'ta,
Sisak sisak k kat'ti hai raat usay kehna,

Ussay pukaroon ya khud hi pohanch jaoon us k pass,
Nahi rahe ab wo halaat usay kehna,

Agar wo phir b na lotay to aye meharbaan,
Hamari zeest k halaat usay kehna,

Her jeet us k naam kar raha hoon main ,
Main manta hoon apni haar usay kehna...

No comments:

Post a Comment