Thursday 29 May 2014

Ghar Se Ye Sock k Nikla Hon

Ghar se yeh soch k nikla hon k Mar jana hai,
Ab koi Raah dikha de k kidhar jana hai,

Jism se sath nibhane ki mat umeed rakho,
Is musafir ko to Rastay mein theher jana hai,

Mout lamhay ki sada Zindagi umron ki pukar,
Mei yehi soch k zinda hon k Mar jana hai,

Nasha aesa tha k Maikhanay ko duniya samjha,
Hosh aaya to khayal aaya k ghar jana hai,

Mere jazbay ki bari qadar hai logon main magar,
Mere jazbay ko mere sath he mar jana hai...

No comments:

Post a Comment