Sunday, 25 May 2014

Badlay Howe Halaat Se Dar Jata Hoon Aksar

Badlay Howe Halaat Se Dar Jata Hoon Aksar
Sheeraza-e-Millat Hoon , Bikhar Jata Hoon Aksar

Mein Aisa Safeena Hoon Keh Sahil Ki Sada Par
Toofan K Seenay Mein Utar Jata Hoon Aksar

Mein Mout Ko Pata Hoon Kabhi Zari-e-Kaf-e-Paa
Hasti K Gumaa’n Se Bhi Guzar Jata Hoon Aksar

Marney Ki Gharri Aaey Tou Mein Zeest Ka Talib
Jeenay Ka Taqza Ho Tou Mar Jata Hoon Aksar

Rehta Hoon Akela Mein Bhari Dunya Mein
Lay Mera Naam Koi Tou Dar Jata Hoon Aksar

No comments:

Post a Comment