Kuch Log Bhi Wehmon Mein Giraftaar Bohat Hein
Kuch Shehar Ki Galyaan Bhi Pur-Asraar Bohat Hein
Hai Kon , Utarta Hai Wahan Jis K Liye Chaand
Kehne Ko Tou Chehrey Pas-E-Diwaar Bohat Hein
Honton Pe Sulagtey Howe Inkaar Pe Mat Jaa
Palko’n Se Parey Bheegtey Iqraar Bohat Hein
Yeh Dhoop Ki Sazish Hai Ke’h Mosam Ki Shararat
Saey Hai Wahan Kam, Jahan Ashjaar Bohat Hein
Be Harf Talab Un Ko Ataa Kar Kabhi Khud Se
Woh Yun K Sawali Teray Khuddaar Bohat Hein
Tum Munsif-O-Adil He Sahi Shehar Mein Lekin
Kiun Khoon Chhee’ntey Sar-E-Dastaar Bohat Hein
Ay Hijar Ki Basti Tu Salamat Rahey Lekin
Sunsaan Terey Koocha-O-Bazaar Bohat Hein
Mohsin Hamein Zid Hai Keh Ho Andaz-E-Bayaan Aur
Hum Log Bhi Galib K Tarafdaar Bohat Hein…
No comments:
Post a Comment