Ab Woh Toofaan Hai Na Woh Shor Hawaon Jaisa
Dil Ka Aalam Hai Tere Baad Khalaaon Jaisa
Kash Dunya Mere Ehsaas Ko Wapas Kardey
Khamoshi Ka Wohi Andaaz Sadaaon Jaisa
Paas Reh Kar Bhi Hamesha Woh Bohat Door Mila
Us Ka Andaz-E-Tagaful Tha Khudaaon Jaisa
Kitni Shiddat Se Tha Baharon Ko Tha Ehsas-E-Mua'al
Phool Khil Kar Bhi Laga Zard Khizaaon Jaisa
Kia Qayamat Hai Ke'h Dunya Usay Sardaar Kahey
Jis Ka Andaz-E-Sukhan Bhi Ho Gadaaon Jaisa
Phir Teri Yaad K Mosam Ne Jagaey Mehshar
Phir Merey Dil Mein Utha Shour Hawaaon Jaisa
Baarha Khuwab Mein Paa Kar Mujhe Piyasa Mohsin
Us Ki Zulfon Ne Kia Raqs Ghataoaon Jaisa..
No comments:
Post a Comment