Jo Mujhe Sukoon Ab De Sake
Bas Ab Aise Dar Ki Talash Hai
Wo Gunaah Ho Ya Sawab Ho
Mujhe Us Amal Ki Talaash Hai
Mere Sare Sapne Bikhar Gae
Main To Choor Choor Hun Ho Chuki
Jo Mujhe Samet Ke Rakh Sake
Usi Ek Ghar Ki Talash Hai
Jahaan Hon Parinde Chahak Rahe
Aur Hawa Bhi Tez Ho Bah Rahi
Meri Saans Ab Hai Ghuti Hui
Mujhe Us Fiza Ki Talash Hai
Main Khafa Hun Har Ek Rishte Se
Ki Sila Hai Inse Mila Nahi
Jis Rishte Ka Nahi Naam Ho
Ab Usiki Mujhko Talash Hai
Kabhi Titaliyon Ke Se Khwab The
Aur Ek Phool Meri Talash Thi
Magar Thokarain Hi Milyn Mujhe
Ab Pattharon Ki Talash Hai
wo Ajeeb Sa Mera Ek Dost Mere
Dil Ke Itne Qareeb Hai
Ki Meri Khushi To Main Bhool Gai
Uski Khushi Ki Talash Hai
Milen Rahaten Use Chahten Ki
wo Zindagi Me Sada Hanse
Ye Duaa Meri Jo Sun Sake
Mujhe Us Khuda Ki Talash Hai
No comments:
Post a Comment