Sard Kamare Mein Machlti Garm Sanson Ki Mahak
Bazuon Ke Sakht Halqe Mein Koi Nazuk Badan
Silvatein Malbuus Par Anchal Bhi Kuch Dhlka Hua
Garmi-E-Rukhsaar Se Dahaki Hui Thandi Hava
Narm Zulfon Se Mulayam Ungliyon Ki Cher-Chaar
Surkh Honthon Par Shararat Ke Kisi Lamhen Ka Aks
Reshmi Bahon Mein Churi Ki Kabhi Madham Dhanak
Sharmagin Lahajon Mein Dhire Se Kabhi Chahat Ki Bat
Do Dilon Ki Dharkanon Mein Gunjti Thi Ek Sada
Kanpate Honthon Pe Thi Allah Se Sirf Ek Dua
Kash Ye Lamhe Thahar Jaayein Thahar Jaayein Zara
No comments:
Post a Comment