Monday 9 June 2014

Har waada-e-wafa ko bhulaane ka SHUKRIYA

Har waada-e-wafa ko bhulaane ka SHUKRIYA.
Deewaana kar ke Aankh churaane ka SHUKRIYA,

Hum jaante thay aap k Qaabil nahi hain hum.
Kuchh roz dil ki Aas barhaane ka SHUKRIYA,

Taabeer jin ki daikh kar Aankhein hain Zakhm Zakhm.
Itne Haseen khuwaab Dikhaane ka SHUKRIYA.

No comments:

Post a Comment